Khumari
"khumari sabd bada gehera hai,
khumari kaa arth hota hai na to behosi na hos,
kuch kuch hos kuch kuch behosi, dono ki milan jaha hora hai
woh hai sadhya kaal, jaha din milte hai aur raat milti hai,
na kehesakte ho din hai, na kehesakte ho raat hai,
aisi hi ek Bhitar awastha hain,
jab ek taraf dekho ge to sab mast hote dekho ge, dusri taraf dekho ge to sab sthir~
ek tarf meera ka naach, aur ek taraf buddha ka maun.
yeh dono jaha milgaye hain iska nam khumari"
Geet ko uthne do, aur sajh ko chidjaane do
chuppi ko chune do lafjo ke naram taaro ko
aur lafjo ko chuppi ki jazal gaane do...
jara samhal ne do meera ki thirakti payal,
jara Gautam ke saday pau behek jane do
Geet ko uthne do, aur sajh ko chidjaane do" ~
- OSHO
......
Comments
Post a Comment